Monday, January 7, 2013

Wednesday, January 2, 2013

NOTE


NOTE :-

HIGH COURT KE FAISALE KE BAAD BHI KUCH UN-TRAINED CANDIDATES HAIN JINPE IS NIRNAY KA ASAR NAHI PAREGA.........AISA MERA MAANANAA HAI.

1. "Computer Teacher" banne ke liye B.Ed degree nahi chahiye hoti hai. Kendriya Vidyalaya mein bhi Computer Teacher banne ke liye B.E/B.Tech/MCA/M.Tech/'B'-Level/'C'- Level degree kafi hai.

Haan....Promotion ke liye B.Ed degree karni hoti hai.....isliye Computer Engineer ke recruitment pe fark nahi parna chahiye.... chahe wo trained hon ya Un-trained.

2. Music Teacher (etc) ke liye bhi B. Ed nahi chahiye 

Kendriya Vidyalaya mein Teacher banne ke liye jo qualification chahiye uska main aap sab ko link de raha hoon.......jaroor padhen


Link : http://kvsangathan.nic.in/  (Administration >> Recruitment rules)


Main aap sab ko ek blog suggest karna chahunga......wahan aapko pure desh bhar mein Teacher ke recruitment se juri jankariyan milengi


Link : http://naukri-recruitment-result.blogspot.in/






NEWS


Kya Shiksha Niti Hai :- 

1. Jo Teachers vibhinn school mein padha rahe hain ya padhane ja rahe hain unmein se 99%  CTET qualify nahi kar pa rahe hain aur desh ka bhavishya taiyaar kar rahe hain ....bachhon ko shiksha de rahe hain

2. Jo CTET/BETET/BSITET/STET paas kar le rahe hain wo TRAINED nahi hain isliye unhe Teacher nahi banaya ja sakta hai

3. Aur wo log....jinke paas Degree Hai TRAINED hain lekin CTET/BETET/BSITET/STET clear na kar paane ki wajah se Teacher nahi ban pa rahe hain.....wo Court mein case darj kar UNTRAINED ko Teacher nahi banne de rahe hain.

4. Un-Trained chahe padne mein kitne hi achhe kyun na hon unki to lag gayi boss.....!!!

NEWS